Shayari On Life

Shayari On Life

Har Baat Maani Hai Teri Sar Jhuka Kar Ai Zindagi,
Hisaab Barabar Kar Tu Bhi Toh Kuchh Shartein Maan Meri.
हर बात मानी है तेरी सिर झुका कर ऐ जिंदगी,
हिसाब बराबर कर तू भी तो कुछ शर्तें मान मेरी।


Ab Samajh Leta Hun Meethhe Lafzon Ki Kaduwahat,
Ho Gaya Hai Zindagi Ka Tajurba Thoda Thoda.
अब समझ लेता हूँ मीठे लफ़्ज़ों की कड़वाहट,
हो गया है ज़िन्दगी का तजुर्बा थोड़ा थोड़ा।


Mujhe Zindagi Ka Itna Tajurba Toh Nahin Hai Dosto,
Par Log Kahte Hain Yehan Saadgi Se KatTi Nahi.
मुझे जिंदगी का इतना तजुर्बा तो नहीं है दोस्तों,
पर लोग कहते हैं यहाँ सादगी से कटती नहीं।


Le De Ke Apne Paas Faqat Ek Najar Toh Hai,
Kyun Dekhein Zindagi Ko Kisi Ki Najar Se Hum.
ले दे के अपने पास फ़क़त एक नजर तो है,
क्यूँ देखें ज़िन्दगी को किसी की नजर से हम।

Advertising

Image result for Shayari On Life

Kabhi Khole Toh Kabhi Zulf Ko Bikhraye Hai,
Zindgi Shaam Hai Aur Shaam Dhali Jaye Hai.
कभी खोले तो कभी ज़ुल्फ़ को बिखराए है,
ज़िंदगी शाम है और शाम ढली जाए है।


Manzile Mujhe Chhod Gayi Raston Ne Sambhal Liya
Zindgi Teri Jarurat Nahi Mujhe Haadson Ne Paal Liya.
मंजिलें मुझे छोड़ गयी रास्तों ने संभाल लिया,
जिंदगी तेरी जरूरत नहीं मुझे हादसों ने पाल लिया।


Thodi Masti Thoda Sa Imaan Bacha Paya Hun,
Yeh Kya Kam Hai Main Apni Pahchaan Bacha Paya Hun,
Kuchh Ummidein, Kuchh Sapne, Kuchh Mahekti Yaadein,
Jeene Ka Main Itna Hi Saaman Bacha Paya Hun.
थोड़ी मस्ती थोड़ा सा ईमान बचा पाया हूँ,
ये क्या कम है मैं अपनी पहचान बचा पाया हूँ,
कुछ उम्मीदें, कुछ सपने, कुछ महकती यादें,
जीने का मैं इतना ही सामान बचा पाया हूँ।


Hai Ajeeb Shahar Ki Zindgi
Na Safar Raha Na Qayam Hai,
Kahi Karobaar Si Dophar
Kahi Bad-Mijaz Si Shaam Hai.
है अजीब शहर की ज़िंदगी
न सफर रहा न क़याम है
कहीं कारोबार सी दोपहर
कहीं बदमिजाज़ सी शाम है।


Image result for Shayari On Life

Chhod Yeh Baat Ke Mile Zakhm Kahan Se Mujhko,
Zindagi Itna Bata Kitna Safar Baaki Hai.
छोड़ ये बात कि मिले ज़ख़्म कहाँ से मुझको,
ज़िन्दगी इतना बता कितना सफर बाकी है।


Dekha Hai Zindagi Ko Kuchh Itna Kareeb Se,
Chehre Tamaam Lagne Lage Hain Ab Toh Ajeeb Se.
देखा है ज़िन्दगी को कुछ इतना करीब से,
चेहरे तमाम लगने लगे हैं अब तो अजीब से।


Zindgi Se Puchhiye Yeh Kya Chahti Hai,
Bas Ek Aapki Wafa Chahti Hai,
Kitni Masoom Aur Nadaan Hai Yeh,
Khud Bewafa Hai Aur Wafa Chahti Hai.
ज़िन्दगी से पूछिये ये क्या चाहती है,
बस एक आपकी वफ़ा चाहती है,
कितनी मासूम और नादान है ये,
खुद बेवफा है और वफ़ा चाहती है।


Image result for Shayari On Life

ShatRanj Khel Rahi Hai Meri Zindagi Kuchh Iss Tarah,
Kabhi Teri Mohabbat Maat Deti Hai Kabhi Meri Kismat.
‪‎शतरंज‬ खेल रही है मेरी ‪जिंदगी‬ कुछ इस तरह,
कभी तेरी मोहब्बत मात देती है कभी मेरी ‪किस्मत‬।


Tang Aa Chuke Hain Kashmkash-e-Zindgi Se Hum,
Thukra Na Dein Jahan Ko Kahin De-Dili Se Hum.
Lo Aaj Humne Chhod Diya Rishta-e-Ummid,
Lo Ab Kabhi Kisi Se Gila Na Karenge Hum,
Gar Zindgi Mein Mil Gaye Ittefak Se,
Puchhenge Apna Haal Teri Bebasi Hum.

तंग आ चुके हैं कशमकश-ए-ज़िंदगी से हम,
ठुकरा न दें जहाँ को कहीं बे-दिली से हम,
लो आज हमने छोड़ दिया रिश्ता ए उमीद,


Ab Toh Apni Tabiyat Bhi Juda Lagti Hai,
Saans Leta Hun Toh Zakhmo Ko Hawa Lagti Hai,
Kabhi Razi Toh Kabhi Mujse Khafa Lagti Hai,
Zindgi Tu Hi Bata Tu Meri Kya Lagti Hai.
अब तो अपनी तबियत भी जुदा लगती है,
सांस लेता हूँ तो ज़ख्मों को हवा लगती है,
कभी राजी तो कभी मुझसे खफा लगती है,
जिंदगी तू ही बता तू मेरी क्या लगती है।


Image result for Shayari On Life

Ab Toh Apni Tabiyat Bhi Juda Lagti Hai,
Saans Leta Hun Toh Zakhmo Ko Hawa Lagti Hai,
Kabhi Razi Toh Kabhi Mujse Khafa Lagti Hai,
Zindgi Tu Hi Bata Tu Meri Kya Lagti Hai.
अब तो अपनी तबियत भी जुदा लगती है,
सांस लेता हूँ तो ज़ख्मों को हवा लगती है,
कभी राजी तो कभी मुझसे खफा लगती है,
जिंदगी तू ही बता तू मेरी क्या लगती है।


English Shayari on Life

Zindagi Har Pal Dhalti Hai,
Jaise Ret MutThi Se Fisalti Hai,
Shikwe Kitne Bhi Ho Kisi Se,
Fir Bhi Muskurate Rahna,
Kyunki Yeh Zindagi Jaisi Bhi Hai,
Bas Ek Hi Baar Milti Hai.

ज़िन्दगी हर पल ढलती है,
जैसे रेत मुट्ठी से फिसलती है,
शिकवे कितने भी हो किसी से,


Parhne Walon Ki Kami Ho Gayi Hai
Aaj Is Zamaane Mein…
Varna Meri Zindagi Ka Har Panna,
Puri Kitaab Hai!

पढ़ने वालों की कमी हो गयी है
आज इस ज़माने में…
वरना मेरी ज़िन्दगी का हर पन्ना,
पूरी किताब है।


Image result for Shayari On Life

Zindgi Bhi Tawayaf Ki Tarah Hoti Hai,
Kabhi Majboori Mein Nachti Hai Kabhi MashHoori Mein.
जिंदगी भी तवायफ की तरह होती है,
कभी मज़बूरी में नाचती है कभी मशहूरी में।


Pareshan Hun Main Aur Dard Ka Hai Naam Zindgi,
Achchha Ya Bura Main Hun Par Badnaam Zindgi.

Syaah Raatein, Mayusi, Aansu, Lachari, Tanhayi,
Mohabbat De Ya Kar Maut Ka Intezam Zindgi.

Har Waqt Bas Saza Mukarrar Kerti Rehti Hai Tu,
Kabhi Toh De Mujhe Mohabbat Ka Inaam Zindgi.


Kabhi Palkon Pe Aansoo Hai,
Kabhi Lab Per Shikayat Hai,
Magar Aye Zindgi Phir Bhi,
Mujhe Tujh Se Mohabbat Hai,

Jo Aata Hai Woh Jaata Hai,
Yeh Duniya Aani Jaani Hai,
Yehan Her Shaks Musafir Hai,
Safar Mein Zindagani Hai,


Image result for Shayari On Life

Zindgi Ek Haseen Khwab Hai,
Jisme Jeene Ki Chahat Honi Chahiye,
Gham Khud Khushi Me Badal Jayenge,
Sirf Muskurane Ki Aadat Honi Chahiye!
ज़िन्दगी एक हसीन ख़्वाब है,
जिसमें जीने की चाहत होनी चाहिये,
ग़म खुद ही ख़ुशी में बदल जायेंगे,
सिर्फ मुस्कुराने की आदत होनी चाहिये।


Ho Ke Mayoos Na Yun Shaam Se Dhalte Rahiye,
Zindagi Bhor Hai Suraj Sa Nikalte Rahiye,
Ek Hi Paav Pe Thehroge Toh Thak Jaoge,
Dheere Dheere Hi Sahi Raah Pe Chalte Rahiye.
हो के मायूस न यूं शाम से ढलते रहिये,
ज़िन्दगी भोर है सूरज सा निकलते रहिये,
एक ही पाँव पे ठहरोगे तो थक जाओगे,
धीरे-धीरे ही सही राह पे चलते रहिये।


Urdu Shayari on Life


urdu shayari on life
urdu shayari on life
urdu shayari on life
urdu shayari on life
urdu shayari on life